Main Tujhse Pyaar Nahin Karta

By Bollywood Hungama News Network Wed Jan 7 0:00:47 IST

Main Tujhse Pyaar Nahin Karta Lyrics

Main tujhse pyaar nahin karta

Main tujhse pyar nahi karta

Per koyi aisi shaam nahi

Jab main apni tanhaai mein

Teraa intazaar nahi karta



Main tujhse pyaar nahin karta

Dil se ye kehta rahta hu

Par teri sanson mein chip ke

Main saansen letaa rehta hu

Is se inkaar nahi karta

Main tujhse pyar nahi karta



Mujhe kucch bhi yaad nahi rahta

Kab din dooba, kab raat hui


Abhi kal ki baat hai

Pehron tak meri divaaron se baat hui

Jo hosh zara saa baaqi hai

Lagta hai khone wala hu

Afwah uddi hai yaaro mein

Main pagal hone wala hu

Main tujhse pyaar nahin karta



Main tujhse pyaar nahin karta

Main tujhse pyar nahi karta

Par aisa koyi din hai kyaa

Jab yaad tujhe teri baato ko

Sau sau baar nahin karta

Sau sau baar nahin karta

Main tujhse pyaar nahin karta.