Abhi Abhi (Duet)

By Bollywood Hungama News Network Sat Jul 7 0:00:23 IST

Abhi Abhi (Duet) Lyrics

Abhi abhi toh mile ho

Abhi naa karo chhootne ki baat


Abhi abhi toh pasand aaye ho

Abhi abhi roothne ki baat



Abhi abhi toh roshni aayi

Abhi naa karo munh chhupane ki baat

Abhi abhi zindagi shuru hai

Abhi abhi tham jaane ki baat

Hum toh haare mahiya re

Moonde naina, neendh tihaare


Hum toh haare mahiya re

Moonde naina, neendh tihaare



Teri baazuon mein meri chahatein samaaye

Teri dhadkano ko meri dhadkane sunaaye

Teri khwahishon se meri khwaishein riha hain

Teri karwaton se meri daastan bayan hai

Kya sukoon kya junoon humnawa

Abhi abhi dil ki suni hai


Abhi na karo zamaane ki baat


Abhi abhi baatein ruki hain

Abhi abhi dauhraane ki baat

Abhi abhi aawargi aayi

Abhi na karo sambhalne ki baat

Abhi abhi zindagi shuru hai

Abhi abhi tham jaane ki baat

Woh subah toh bewajah ho

Ke guzre bin tumhare jiski raat


Woh subah toh bewajah ho

Ke guzre bin tumhare jiski raat



Teri baazuon mein meri chahatein samaaye

Teri dhadkano ko meri dhadkane sunaaye

Teri khwahishon se meri khwaishein riha hain

Teri karwaton se meri daastan bayan hai

Kya sukoon kya junoon humnawa

Hum toh haare mahiya re


Moonde naina, neendh tihaare

Hum toh haare mahiya re

Moonde naina, neendh tihaare