Tere Bina Jiya Na Jaye

By Bollywood Hungama News Network Fri Mar 4 18:34:48 IST

Tere Bina Jiya Na Jaye Lyrics

Tere bina jiya na jaaye
Socha na jaaye tere bina, tere bina
Tere bina jiya na jaaye
Socha na jaaye tere bina, tere bina

Dil de ke jaana jaan de ke jaana
Gurbat kya hai muhabbat kya hai
Duniya ki daulat mil bhi jaaye toh
Tu na mila toh kuchh na mila
Meri wafa ko na aajmaana
Yeh na bhul jaana ki main hoon tera, tera apana
Tere bina jiya na jaaye
Socha na jaaye tere bina, tere bina

Milana hamaara iss jindagi mein
Sapana nahi haqiqat hai yeh
Tum jo nahi toh kuchh bhi nahi hai
Yeh jaan lo yeh maan lo
Meri wafa ko na aajmaana
Yeh na bhul jaana ki main hoon tera, tera apana
Tere bina jiya na jaaye
Socha na jaaye tere bina, tere bina