raat bar didaye namnak mein lehraate rahe
saans ki tarah se aap aate rahejaate rahe
dard hadse gujarata ja raha hai
koyi chala ja raha hai
lamha muththi se fisalata ja raha hai
koyi chala ja raha hai
phir tamannao ko kuchala ja raha hai
koyi chala ja raha hai
dekho phul chala ik daali se
koyi dard na puchhe maali se
har patta patta bikhar gaya
ik tu jo gayasab kuchh tha gaya
mudke pichhe na dekha ja raha hai
koyi chala ja raha hai
jab lahu mein chaahat ram jaaye
har aahat bolein tum aaye
tum aks ho paani mein gehra
kankar maara sab bikhar gaya
ik nasha sa utarata ja raha hai
koyi chala ja raha hai.